rahmaton mein teri aaghosh ki pale gae hum
rahmatoñ meñ tirī āġhosh kī paale ga.e ham
aise mardūd hue phir ki nikāle ga.e ham
āsmānoñ ko sambhāle rahī qudrat terī
itne sarkash the ki tujh se na sambhāle ga.e ham
ishq kī bū thī tajassus kā nasha shauq kā rañg
sāġhar-e-gul meñ tire vāste Dhāle ga.e ham
tajrabāt apne muqaddar meñ liye marhala-vār
tere bāzār-e-tamāshā meñ uchhāle ga.e ham
jins-e-ehsās kī dūkān pe sannāTā thā
koī gāhak na thā is kā to uThā le ga.e ham
ro.ab taarī thā zabāñ par tirā maḳhlūq thī chup
ham to āshiq the ġham-e-hijr sunā le ga.e ham
luuT le chain koī ye na huā thā ab tak
mutma.in rah gayā vo aur churā le ga.e ham
rahmaton mein teri aaghosh ki pale gae hum
aise mardud hue phir ki nikale gae hum
aasmanon ko sambhaale rahi qudrat teri
itne sarkash the ki tujh se na sambhaale gae hum
ishq ki bu thi tajassus ka nasha shauq ka rang
saghar-e-gul mein tere waste Dhaale gae hum
tajrabaat apne muqaddar mein liye marhala-war
tere bazar-e-tamasha mein uchhaale gae hum
jins-e-ehsas ki dukan pe sannaTa tha
koi gahak na tha is ka to uTha le gae hum
roab tari tha zaban par tera maKHluq thi chup
hum to aashiq the gham-e-hijr suna le gae hum
luT le chain koi ye na hua tha ab tak
mutmain rah gaya wo aur chura le gae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.