rahna har dam bujha bujha sa kuchh
rahnā har dam bujhā bujhā sā kuchh
ho gayā dil kā mashġhala sā kuchh
terī zulfoñ kā merī vahshat kā
miltā-jultā hai silsila sā kuchh
ham se milne ko ik zamāna milā
terā milnā thā sāneha sā kuchh
aisā ujḌā sanam-kada dil kā
ho gayā ḳhāna-e-ḳhudā sā kuchh
dil ke sahrā meñ aa nikaltā hai
ab bhī koī gurez-pā sā kuchh
lutf-e-dīvāngī nahīñ aayā
bazm meñ log the shanāsā kuchh
rahna har dam bujha bujha sa kuchh
ho gaya dil ka mashghala sa kuchh
teri zulfon ka meri wahshat ka
milta-julta hai silsila sa kuchh
hum se milne ko ek zamana mila
tera milna tha saneha sa kuchh
aisa ujDa sanam-kada dil ka
ho gaya KHana-e-KHuda sa kuchh
dil ke sahra mein aa nikalta hai
ab bhi koi gurez-pa sa kuchh
lutf-e-diwangi nahin aaya
bazm mein log the shanasa kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.