rahne de ratjagon mein pareshan mazid use
rahne de ratjagoñ meñ pareshāñ mazīd use
lagne de ek aur bhī zarb-e-shadīd use
jī haañ vo ik charāġh jo sūraj thā raat kā
tārīkiyoñ ne mil ke kiyā hai shahīd use
faaqe na ghuggiyoñ se saḌak par nikal paḌeñ
aafat meñ Daal de na ye bohrān-e-īd use
fart-e-ḳhushī se vo kahīñ āñkheñ na phoḌ le
ārām se sunāo sahar kī navīd use
har-chand apne qatl meñ shāmil vo ḳhud bhī thā
phir bhī gavāh mil na sake chashm-dīd use
bāzār agar hai garm to kartab koī dikhā
sab gāhakoñ se aañkh bachā kar ḳharīd use
muddat se pī nahīñ hai to phir fā.eda uThā
vo chal ke aa gayā hai to kar le kashīd use
mashkūk agar hai ḳhat kī likhā.ī to kyā huā
ja.alī banā ke bhej de tū bhī rasīd use
rahne de ratjagon mein pareshan mazid use
lagne de ek aur bhi zarb-e-shadid use
ji han wo ek charagh jo suraj tha raat ka
tarikiyon ne mil ke kiya hai shahid use
faqe na ghuggiyon se saDak par nikal paDen
aafat mein Dal de na ye bohran-e-id use
fart-e-KHushi se wo kahin aankhen na phoD le
aaram se sunao sahar ki nawid use
har-chand apne qatl mein shamil wo KHud bhi tha
phir bhi gawah mil na sake chashm-did use
bazar agar hai garm to kartab koi dikha
sab gahakon se aankh bacha kar KHarid use
muddat se pi nahin hai to phir faeda uTha
wo chal ke aa gaya hai to kar le kashid use
mashkuk agar hai KHat ki likhai to kya hua
jali bana ke bhej de tu bhi rasid use
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.