rahne de shab apne pas mujhko
rahne de shab apne paas mujh ko
auroñ sā na kar qayās mujh ko
rah jā ki kahūñgā haal dil kā
aa jaa.eñ tanik havās mujh ko
dil nāzuk o kār-e-ishq dar-pesh
apnā hai nipaT hirās mujh ko
yā-rab gayā kaun yaañ se mehmāñ
lagtā hai ye ghar udaas mujh ko
mahram se tū suniyo haal merā
na.iiñ tāqat-e-iltimās mujh ko
hairat ne kiyā hai yak jahāñ kā
juuñ ā.īna rū-shanās mujh ko
ko jāma-e-ḳhāk-o-ḳhūñ ki 'qā.em'
sajtā thā vahī libās mujh ko
rahne de shab apne pas mujh ko
auron sa na kar qayas mujh ko
rah ja ki kahunga haal dil ka
aa jaen tanik hawas mujh ko
dil nazuk o kar-e-ishq dar-pesh
apna hai nipaT hiras mujh ko
ya-rab gaya kaun yan se mehman
lagta hai ye ghar udas mujh ko
mahram se tu suniyo haal mera
nain taqat-e-iltimas mujh ko
hairat ne kiya hai yak jahan ka
jun aaina ru-shanas mujh ko
ko jama-e-KHak-o-KHun ki 'qaem'
sajta tha wahi libas mujh ko
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.