rahne de taklif-e-tawajjoh dil ko hai aaram bahut
rahne de taklīf-e-tavajjoh dil ko hai ārām bahut
hijr meñ terī yaad bahut hai ġham meñ terā naam bahut
baat kahāñ un āñkhoñ jaisī phuul bahut haiñ jaam bahut
auroñ ko sarshār banā.eñ ḳhud haiñ tishna-kām bahut
kuchh to batāo ai farzāno dīvānoñ par kyā guzrī
shahr-e-tamannā kī galiyoñ meñ barpā hai kohrām bahut
shuġhl-e-shikast-e-jām-o-tauba pahroñ jaarī rahtā hai
ham aise Thukrā.e huoñ ko mai-ḳhāne meñ kaam bahut
dil-shiknī o dildārī kī ramzoñ par hī kyā mauqūf
un kī ek ik jumbish-e-lab meñ pinhāñ haiñ paiġhām bahut
aañsū jaise bāda-e-rañgīñ dhaḌkan jaise raqs-e-parī
haa.e ye tere ġham kī halāvat rahtā huuñ ḳhush-kām bahut
us ke taqaddus ke afsāne sab kī zabāñ par jaarī haiñ
us kī galī ke rahne vaale phir bhī haiñ badnām bahut
zaḳhm ba-jāñ hai ḳhaak basar hai chaak ba-dāmāñ hai 'unvāñ'
bazm-e-jahāñ meñ raqs-e-vafā par milte haiñ in.aam bahut
rahne de taklif-e-tawajjoh dil ko hai aaram bahut
hijr mein teri yaad bahut hai gham mein tera nam bahut
baat kahan un aankhon jaisi phul bahut hain jam bahut
auron ko sarshaar banaen KHud hain tishna-kaam bahut
kuchh to batao ai farzano diwanon par kya guzri
shahr-e-tamanna ki galiyon mein barpa hai kohram bahut
shughl-e-shikast-e-jam-o-tauba pahron jari rahta hai
hum aise Thukrae huon ko mai-KHane mein kaam bahut
dil-shikni o dildari ki ramzon par hi kya mauquf
un ki ek ek jumbish-e-lab mein pinhan hain paigham bahut
aansu jaise baada-e-rangin dhaDkan jaise raqs-e-pari
hae ye tere gham ki halawat rahta hun KHush-kaam bahut
us ke taqaddus ke afsane sab ki zaban par jari hain
us ki gali ke rahne wale phir bhi hain badnam bahut
zaKHm ba-jaan hai KHak basar hai chaak ba-daman hai 'unwan'
bazm-e-jahan mein raqs-e-wafa par milte hain inam bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.