rahne ko hum qafas mein rahe aashiyan se dur
rahne ko ham qafas meñ rahe āshiyāñ se duur
lekin chaman meñ thī ye jagah āsmāñ se duur
is qurb se jo sajdoñ meñ tujh se huā mujhe
sajde bhī haiñ muqāblatan āstāñ se duur
jitnā maiñ āshiyāñ meñ qafas se qarīb thā
utnā hī ab qafas meñ huuñ maiñ āshiyāñ se duur
hāsil na jis kī ruuh ko ho qurb-e-mai-kada
vo nā-murād rahmat-e-pīr-e-muġhāñ se duur
tujh se bhī duur tak koī aisī jagah nahīñ
mahfil meñ apnī to nazar aa.e jahāñ se duur
is nā-murād se jo tire āstāñ pe hai
achchhā hai bad-nasīb jo hai āstāñ se duur
ab tak koī batā na sakā rāh-e-ishq meñ
manzil kahāñ se paas hai 'bismil' kahāñ se duur
rahne ko hum qafas mein rahe aashiyan se dur
lekin chaman mein thi ye jagah aasman se dur
is qurb se jo sajdon mein tujh se hua mujhe
sajde bhi hain muqablatan aastan se dur
jitna main aashiyan mein qafas se qarib tha
utna hi ab qafas mein hun main aashiyan se dur
hasil na jis ki ruh ko ho qurb-e-mai-kada
wo na-murad rahmat-e-pir-e-mughan se dur
tujh se bhi dur tak koi aisi jagah nahin
mahfil mein apni to nazar aae jahan se dur
is na-murad se jo tere aastan pe hai
achchha hai bad-nasib jo hai aastan se dur
ab tak koi bata na saka rah-e-ishq mein
manzil kahan se pas hai 'bismil' kahan se dur
- Book : Kulliyat-e-bismil Saeedi (Pg. 38)
- Author : Bismil Saeedi
- Publication : Sahitya Akademi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.