rahoge humse kab tak be-KHabar se
rahoge ham se kab tak be-ḳhabar se
judā hotī nahīñ dīvār dar se
musāfir haal kyā apnā sunā.e
abhī lauTā nahīñ apne safar se
hamesha to nahīñ rahtā hai qaa.em
ta.alluq rāh-rau kā rahguzar se
makānoñ se makīñ ruḳhsat hue haiñ
udāsī jhāñktī hai bām-o-dar se
abhī tak huuñ safar meñ irtiqā ke
mujhe lagte the raste muḳhtasar se
isī miTTī se hai pahchān merī
mohabbat hai mujhe bhī apne ghar se
na jaane un pe kyā guzrī thī 'shāhid'
judā patte hue the jab shajar se
rahoge hum se kab tak be-KHabar se
juda hoti nahin diwar dar se
musafir haal kya apna sunae
abhi lauTa nahin apne safar se
hamesha to nahin rahta hai qaem
talluq rah-rau ka rahguzar se
makanon se makin ruKHsat hue hain
udasi jhankti hai baam-o-dar se
abhi tak hun safar mein irtiqa ke
mujhe lagte the raste muKHtasar se
isi miTTi se hai pahchan meri
mohabbat hai mujhe bhi apne ghar se
na jaane un pe kya guzri thi 'shahid'
juda patte hue the jab shajar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.