rahraw-e-rah-e-KHarabaat-e-chaman
rahrav-e-rāh-e-ḳharābāt-e-chaman
tū savār-e-shauq-e-sultānī meñ fan
tesha-e-azm-e-javāñ dāman meñ rakh
aa ke phir ik baar ho jā kohkan
koī saaya zindagī kā gar mile
chāk-e-gul ho kar pahan lenā kafan
kis ne dī hai us ke hāthoñ meñ inaañ
bāñTtā hai shahr meñ maġhrib kā dhan
jis meñ thī tah-dārī-e-mansūriyat
vo anal-haq kā kahāñ hai bāñkpan
aa uThā phir sāġhar-o-mīnā chaleñ
phir se ho jaa.e vo pahle sā suḳhan
rahraw-e-rah-e-KHarabaat-e-chaman
tu sawar-e-shauq-e-sultani mein fan
tesha-e-azm-e-jawan daman mein rakh
aa ke phir ek bar ho ja kohkan
koi saya zindagi ka gar mile
chaak-e-gul ho kar pahan lena kafan
kis ne di hai us ke hathon mein inan
banTta hai shahr mein maghrib ka dhan
jis mein thi tah-dari-e-mansuriyat
wo anal-haq ka kahan hai bankpan
aa uTha phir saghar-o-mina chalen
phir se ho jae wo pahle sa suKHan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.