rahta hai har waqt qalaq mein
rahtā hai har vaqt qalaq meñ
Thiik na hogā tere haq meñ
qaa.em hai surḳhī se ta.alluq
un ke dāman aur shafaq meñ
majmūe par naam hai merā
zikr tirā har ek varaq meñ
ye haiñ ūñche uḌne vaale
paañv havā meñ sar ḳhandaq meñ
bābū-jī bhī pī lete haiñ
mil jaatī haiñ ġhaibī raqmeñ
haq-dāroñ kī chhuTTī kar do
istiġhnā ke ek sabaq meñ
aaj 'muzaffar' kī ġhazloñ par
ḳhuub nahā.e log araq meñ
rahta hai har waqt qalaq mein
Thik na hoga tere haq mein
qaem hai surKHi se talluq
un ke daman aur shafaq mein
majmue par nam hai mera
zikr tera har ek waraq mein
ye hain unche uDne wale
panw hawa mein sar KHandaq mein
babu-ji bhi pi lete hain
mil jati hain ghaibi raqmen
haq-daron ki chhuTTi kar do
istighna ke ek sabaq mein
aaj 'muzaffar' ki ghazlon par
KHub nahae log araq mein
- Book : kamaan (Pg. 87)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.