rahte hain hosh mein magar phir bhi
rahte haiñ hosh meñ magar phir bhī
kuchh to hogā tirā asar phir bhī
mujh ko pāgal nahīñ kiyā lekin
tum ne chhoḌī hai kyā kasar phir bhī
yuuñ to ab ghaav bhar ga.e be-shak
aate haiñ sab nishāñ nazar phir bhī
pheñke patthar guloñ ko luuTā hai
kitnā ḳhāmosh hai shajar phir bhī
ham ko ehsās hai sarāboñ kā
karte haiñ ret kā safar phir bhī
ghar meñ hoñ log kab zarūrī hai
logoñ meñ ho zarūr ghar phir bhī
chāhe ham koshisheñ kareñ lākhoñ
jā.eñge ek din to mar phir bhī
rahte hain hosh mein magar phir bhi
kuchh to hoga tera asar phir bhi
mujh ko pagal nahin kiya lekin
tum ne chhoDi hai kya kasar phir bhi
yun to ab ghaw bhar gae be-shak
aate hain sab nishan nazar phir bhi
phenke patthar gulon ko luTa hai
kitna KHamosh hai shajar phir bhi
hum ko ehsas hai sarabon ka
karte hain ret ka safar phir bhi
ghar mein hon log kab zaruri hai
logon mein ho zarur ghar phir bhi
chahe hum koshishen karen lakhon
jaenge ek din to mar phir bhi
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.