rahti hai sab ke pas tanhai
rahtī hai sab ke paas tanhā.ī
phir bhī hai kyuuñ udaas tanhā.ī
dil nahīñ lagtā phir kahīñ us kā
aa ga.ī jis ko raas tanhā.ī
ishq ne pheñkā thā pahan ke use
pahne hai jo libās-e-tanhā.ī
saath sab kā diyā hai ab lekin
ḳhud hai kitnī udaas tanhā.ī
zindagī-bhar ke sāthī haiñ mere
jaam saaqī gilās tanhā.ī
kaun jaane huā hai kyā 'indra'
rahtī hai kyuuñ udaas tanhā.ī
rahti hai sab ke pas tanhai
phir bhi hai kyun udas tanhai
dil nahin lagta phir kahin us ka
aa gai jis ko ras tanhai
ishq ne phenka tha pahan ke use
pahne hai jo libas-e-tanhai
sath sab ka diya hai ab lekin
KHud hai kitni udas tanhai
zindagi-bhar ke sathi hain mere
jam saqi gilas tanhai
kaun jaane hua hai kya 'indra'
rahti hai kyun udas tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.