rahti hai yaad-e-yar dil-e-be-qarar mein
rahtī hai yād-e-yār dil-e-be-qarār meñ
Thahrā huā hai jaam kaf-e-rāsha-dār meñ
itnā ḳhulūs zāhid-e-shab-zinda-dār meñ
shāyad ki ye namāz hai hūroñ ke pyaar meñ
jiite raheñge gardish-e-lail-o-nahār meñ
piite raheñge mausam-e-nā-sāzgār meñ
zāhid ye mere ashk-e-nadāmat to dekhnā
hote haiñ jazb dāman-e-parvardigār meñ
hai zindagī to jiit bhī ho jā.egī kabhī
ai dil na ho malūl mohabbat kī haar meñ
vo jān-e-sad-bahār na jaane kab aa.egā
sadiyāñ guzar ga.ī haiñ fareb-e-bahār meñ
'rif.at' harīm-e-nāz ke parde ulaT ga.e
merī nigāh-e-shauq ke pahle hī vaar meñ
rahti hai yaad-e-yar dil-e-be-qarar mein
Thahra hua hai jam kaf-e-rasha-dar mein
itna KHulus zahid-e-shab-zinda-dar mein
shayad ki ye namaz hai huron ke pyar mein
jite rahenge gardish-e-lail-o-nahaar mein
pite rahenge mausam-e-na-sazgar mein
zahid ye mere ashk-e-nadamat to dekhna
hote hain jazb daman-e-parwardigar mein
hai zindagi to jit bhi ho jaegi kabhi
ai dil na ho malul mohabbat ki haar mein
wo jaan-e-sad-bahaar na jaane kab aaega
sadiyan guzar gai hain fareb-e-bahaar mein
'rifat' harim-e-naz ke parde ulaT gae
meri nigah-e-shauq ke pahle hi war mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.