rahun is mein har dam na ho aana jaana
rahūñ is meñ har dam na ho aanā jaanā
terī zulfeñ ho gar mirā āshiyānā
mohabbat kā aisā likheñ ham fasāna
jise yaad rakkhe ye saarā zamānā
churā le gayā merī nīñdeñ bhī āḳhir
mujhe dekh kar vo tirā muskurānā
mire she'r mujh ko haiñ jaañ se aziiz
jise bhī sunānā adab se sunānā
ai 'tauqīr' bachpan meñ karte the kyā kyā
chalo yaad kar leñ vo guzrā zamānā
rahun is mein har dam na ho aana jaana
teri zulfen ho gar mera aashiyana
mohabbat ka aisa likhen hum fasana
jise yaad rakkhe ye sara zamana
chura le gaya meri ninden bhi aaKHir
mujhe dekh kar wo tera muskurana
mere she'r mujh ko hain jaan se aziz
jise bhi sunana adab se sunana
ai 'tauqir' bachpan mein karte the kya kya
chalo yaad kar len wo guzra zamana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.