rahun KHamosh to jaan lab pe aai jati hai
rahūñ ḳhamosh to jaañ lab pe aa.ī jaatī hai
jo kuchh kahūñ to qayāmat uThā.ī jaatī hai
yahī rahā hai hamesha se zindagī kā mizāj
hujūm-e-jalva hai aur niiñd aa.ī jaatī hai
nikāltī nahīñ kyoñ ḳhāl-o-ḳhad ki jab shab-o-roz
haram ke chaak pe ummat chaḌhā.ī jaatī hai
dabā.e baiThī hai jis ko abhī siyāhī-e-shab
mujhe vo sub.h-e-daraḳhshāñ dikhā.ī jaatī hai
rahun KHamosh to jaan lab pe aai jati hai
jo kuchh kahun to qayamat uThai jati hai
yahi raha hai hamesha se zindagi ka mizaj
hujum-e-jalwa hai aur nind aai jati hai
nikalti nahin kyon KHal-o-KHad ki jab shab-o-roz
haram ke chaak pe ummat chaDhai jati hai
dabae baiThi hai jis ko abhi siyahi-e-shab
mujhe wo subh-e-daraKHshan dikhai jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.