rahunga ishq mein mahrum-e-tasir-e-fughan kab tak
rahūñgā ishq meñ mahrūm-e-tāsīr-e-fuġhāñ kab tak
fareb-e-zindagī khātī rahe umr-e-ravāñ kab tak
ḳhudā ke vāste o fitna-sāmāñ ye to samjhā de
havas ke naam par pābandī-e-sūd-o-ziyāñ kab tak
na duniyā se ta'alluq hai na uqbā se mujhe matlab
rahe merī tabī.at be-niyāz-e-do-jahāñ kab tak
tasavvur bhī tirā hai māvarā-e-fikr-e-insānī
tirī hastī rahegī mere haq meñ chīstāñ kab tak
ye faizān-e-mohabbat hai ki maiñ ab tak salāmat huuñ
magar tūfān meñ ye kashtī-e-umr-e-ravāñ kab tak
vahī gardish vahī jalve vahī manzar vahī aalam
raheñge ek hālat meñ zamīn-o-āsmāñ kab tak
'azīm' un ke taġhāful ne kahīñ kā bhī nahīñ rakkhā
ba-faiz-e-hūr yuuñ zinda rahe ye ḳhasta-jāñ kab tak
rahunga ishq mein mahrum-e-tasir-e-fughan kab tak
fareb-e-zindagi khati rahe umr-e-rawan kab tak
KHuda ke waste o fitna-saman ye to samjha de
hawas ke nam par pabandi-e-sud-o-ziyan kab tak
na duniya se ta'alluq hai na uqba se mujhe matlab
rahe meri tabiat be-niyaz-e-do-jahan kab tak
tasawwur bhi tera hai mawara-e-fikr-e-insani
teri hasti rahegi mere haq mein chistan kab tak
ye faizan-e-mohabbat hai ki main ab tak salamat hun
magar tufan mein ye kashti-e-umr-e-rawan kab tak
wahi gardish wahi jalwe wahi manzar wahi aalam
rahenge ek haalat mein zamin-o-asman kab tak
'azim' un ke taghaful ne kahin ka bhi nahin rakkha
ba-faiz-e-hur yun zinda rahe ye KHasta-jaan kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.