rahzan nahin harif nahin ham-safar nahin
rahzan nahīñ harīf nahīñ ham-safar nahīñ
rāh-e-talab meñ ahl-e-havas kā guzar nahīñ
ā.īn-e-bazm-e-dahr se tū be-ḳhabar nahīñ
lekin ḳhudā kā shukr ki maiñ kam-nazar nahīñ
husn-e-nigāh-o-kam-nazarī meñ ye farq hai
sab bā-hunar haiñ aur koī bā-hunar nahīñ
nashr-e-jafā-o-jaur bhī hai ik adā-e-ḳhās
husn-e-nigāh-e-lutf se maiñ be-ḳhabar nahīñ
nāzāñ haiñ apnī himmat-o-jur.at pe rāh-rau
īsār-e-rahnumā pe kisī kī nazar nahīñ
saaqī kī ek baat hai tafsīr-e-kā.enāt
tū kam-nazar nahīñ to koī kam-nazar nahīñ
apne ḳhulūs par hai mujhe 'rāz' e'timād
nashtar-zanī se ġhair kī maiñ be-ḳhabar nahīñ
rahzan nahin harif nahin ham-safar nahin
rah-e-talab mein ahl-e-hawas ka guzar nahin
aain-e-bazm-e-dahr se tu be-KHabar nahin
lekin KHuda ka shukr ki main kam-nazar nahin
husn-e-nigah-o-kam-nazari mein ye farq hai
sab ba-hunar hain aur koi ba-hunar nahin
nashr-e-jafa-o-jaur bhi hai ek ada-e-KHas
husn-e-nigah-e-lutf se main be-KHabar nahin
nazan hain apni himmat-o-jurat pe rah-rau
isar-e-rahnuma pe kisi ki nazar nahin
saqi ki ek baat hai tafsir-e-kaenat
tu kam-nazar nahin to koi kam-nazar nahin
apne KHulus par hai mujhe 'raaz' e'timad
nashtar-zani se ghair ki main be-KHabar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.