rahzan rahbar ho jate hain
rahzan rahbar ho jaate haiñ
kam-tar bartar ho jaate haiñ
koshish kar ke tum bhī dekho
bad-tar behtar ho jaate haiñ
ġham se sākit hone vaale
ik din patthar ho jaate haiñ
ho jaate haiñ a.alā adnā
adnā afsar ho jaate haiñ
apnī āb-o-tāb luTā kar
hiire kankar ho jaate haiñ
haq ke muqābil meñ bātil ke
paspā lashkar ho jaate haiñ
jaur-o-jafā ko sahte sahte
log sitamgar ho jaate haiñ
soz-e-alam se jalte jalte
aañsū aḳhgar ho jaate haiñ
aise aise khilte haiñ gul
ham bhī shashdar ho jaate haiñ
yaad meñ us kī ro kar dekho
aañsū gauhar ho jaate haiñ
yaad meñ us kī ro kar dekho
aañsū gauhar ho jaate haiñ
aise bhī haiñ jo ġhusse meñ
had se bāhar ho jaate haiñ
hirs-o-havas meñ rahne vaale
'yās' kā paikar ho jaate haiñ
rahzan rahbar ho jate hain
kam-tar bartar ho jate hain
koshish kar ke tum bhi dekho
bad-tar behtar ho jate hain
gham se sakit hone wale
ek din patthar ho jate hain
ho jate hain aala adna
adna afsar ho jate hain
apni aab-o-tab luTa kar
hire kankar ho jate hain
haq ke muqabil mein baatil ke
paspa lashkar ho jate hain
jaur-o-jafa ko sahte sahte
log sitamgar ho jate hain
soz-e-alam se jalte jalte
aansu aKHgar ho jate hain
aise aise khilte hain gul
hum bhi shashdar ho jate hain
yaad mein us ki ro kar dekho
aansu gauhar ho jate hain
yaad mein us ki ro kar dekho
aansu gauhar ho jate hain
aise bhi hain jo ghusse mein
had se bahar ho jate hain
hirs-o-hawas mein rahne wale
'yas' ka paikar ho jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.