rahzani hai sar-e-bazar tumhein kya malum
rahzanī hai sar-e-bāzār tumheñ kyā ma.alūm
tum to ho qāfila-sālār tumheñ kyā ma.alūm
naam kis shai kā hai āzār tumheñ kyā ma.alūm
zindagī gul hai ki hai ḳhaar tumheñ kyā ma.alūm
mahv-e-ā.īna ho tum tum ko ḳhabar bhī kyoñ ho
kaun kis kā hai talabgār tumheñ kyā ma.alūm
mere hañsne pe na jaao ye mirī aadat hai
dil pe chaltī hai jo talvār tumheñ kyā ma.alūm
sar-e-bāzār lahū biktā hai fan biktā hai
haañ magar garmī-e-bāzār tumheñ kyā ma.alūm
tum ne āñkhoñ meñ koī raat kahāñ kaaTī hai
TūTte tāroñ kī jhankār tumheñ kyā ma.alūm
jin ko aa jaatā hai jiine kā salīqa 'azmat'
muskurāte haiñ sar-e-dār tumheñ kyā mālūm
rahzani hai sar-e-bazar tumhein kya malum
tum to ho qafila-salar tumhein kya malum
nam kis shai ka hai aazar tumhein kya malum
zindagi gul hai ki hai KHar tumhein kya malum
mahw-e-aina ho tum tum ko KHabar bhi kyon ho
kaun kis ka hai talabgar tumhein kya malum
mere hansne pe na jao ye meri aadat hai
dil pe chalti hai jo talwar tumhein kya malum
sar-e-bazar lahu bikta hai fan bikta hai
han magar garmi-e-bazar tumhein kya malum
tum ne aankhon mein koi raat kahan kaTi hai
TuTte taron ki jhankar tumhein kya malum
jin ko aa jata hai jine ka saliqa 'azmat'
muskuraate hain sar-e-dar tumhein kya malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.