rahzani ka utar gaya suraj
rahzanī kā utar gayā sūraj
raushnī aa.ī mar gayā sūraj
ghaat ġhurbat se kar gayā sūraj
ban ke fir.aun ghar gayā sūraj
koī hairat hameñ nahīñ hotī
kyoñ qalandar se Dar gayā sūraj
hai zarūrat halāl khā.eñ ham
saaya saaya nikhar gayā sūraj
dekhte hī zavāl kā manzar
apne andar bikhar gayā sūraj
hai muqaddar savāl kī sūrat
rahbarī aisī kar gayā sūraj
kar ke ḳhāmosh raushnī 'sāhir'
ḳhāmushī se guzar gayā sūraj
rahzani ka utar gaya suraj
raushni aai mar gaya suraj
ghat ghurbat se kar gaya suraj
ban ke firaun ghar gaya suraj
koi hairat hamein nahin hoti
kyon qalandar se Dar gaya suraj
hai zarurat halal khaen hum
saya saya nikhar gaya suraj
dekhte hi zawal ka manzar
apne andar bikhar gaya suraj
hai muqaddar sawal ki surat
rahbari aisi kar gaya suraj
kar ke KHamosh raushni 'sahir'
KHamushi se guzar gaya suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.