rais ashkon se daman ko bhigo lete to achchha tha
'ra.īs' ashkoñ se dāman ko bhigo lete to achchhā thā
huzūr-e-dost kuchh gustāḳh ho lete to achchhā thā
judā.ī meñ ye shart-e-zabt-e-ġham to maar Dālegī
ham un ke sāmne kuchh der ro lete to achchhā thā
bahāroñ se nahīñ jin ko tavaqqo.a lāla-o-gul kī
vo apne vāste kāñTe hī bo lete to achchhā thā
abhī to nisf shab hai intizār-e-sub.h-e-nau kaisā
dil-e-bedār ham kuchh der so lete to achchhā thā
qalam-rau dād-e-ḳhūn-o-ashk likhne se jhijaktā hai
qalam ko ashk-o-ḳhūñ hī meñ Dubo lete to achchhā thā
faqat ik girya-e-shabnam kifāyat kar nahīñ saktā
chaman vaale kabhī jī-bhar ke ro lete to achchhā thā
surāġh-e-kārvāñ tak kho gayā ab sochte ye haiñ
ki gard-e-kārvāñ ke saath ho lete to achchhā thā
'rais' ashkon se daman ko bhigo lete to achchha tha
huzur-e-dost kuchh gustaKH ho lete to achchha tha
judai mein ye shart-e-zabt-e-gham to mar Dalegi
hum un ke samne kuchh der ro lete to achchha tha
bahaaron se nahin jin ko tawaqqoa lala-o-gul ki
wo apne waste kanTe hi bo lete to achchha tha
abhi to nisf shab hai intizar-e-subh-e-nau kaisa
dil-e-bedar hum kuchh der so lete to achchha tha
qalam-rau dad-e-KHun-o-ashk likhne se jhijakta hai
qalam ko ashk-o-KHun hi mein Dubo lete to achchha tha
faqat ek girya-e-shabnam kifayat kar nahin sakta
chaman wale kabhi ji-bhar ke ro lete to achchha tha
suragh-e-karwan tak kho gaya ab sochte ye hain
ki gard-e-karwan ke sath ho lete to achchha tha
- Book : Hikayat-e-ne (Pg. 55)
- Author : Rais Amrohvi
- Publication : Rais Acadami, Garden Est, krachis (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.