rakh diya hai aadmi ne aaine par aaina
rakh diyā hai aadmī ne aa.ine par aa.ina
dekh kar insān ko hai aaj shashdar aa.ina
pyaas aañsū dard-o-ġham haiñ sab mire bhītar chhupe
hañs diyā hai asliyat mujh ko dikhā kar aa.ina
dekhnā jo chāhtā maiñ dekhtā mujh ko vahī
sach nahīñ ye hai dikhātā sach mujhe har aa.ina
laakh maiñ duniyā ko dhokā duuñ lagātā hai magar
asl chehra sāmne laane meñ pal bhar aa.ina
sañg-dil kī fitratoñ se aa.ina anjān hai
kaash yuuñ hotā ki hotā ek patthar aa.ina
dekh kar apnā hī chehra ḳhud pe hotā hai ġhurūr
yuuñ lage kartā ho jaise jādū-mantar aa.ina
reza reza kis tarah ye zindagī bikhrī 'rajat'
raaz mere jāntā hai merā dilbar aa.ina
rakh diya hai aadmi ne aaine par aaina
dekh kar insan ko hai aaj shashdar aaina
pyas aansu dard-o-gham hain sab mere bhitar chhupe
hans diya hai asliyat mujh ko dikha kar aaina
dekhna jo chahta main dekhta mujh ko wahi
sach nahin ye hai dikhata sach mujhe har aaina
lakh main duniya ko dhoka dun lagata hai magar
asl chehra samne lane mein pal bhar aaina
sang-dil ki fitraton se aaina anjaan hai
kash yun hota ki hota ek patthar aaina
dekh kar apna hi chehra KHud pe hota hai ghurur
yun lage karta ho jaise jadu-mantar aaina
reza reza kis tarah ye zindagi bikhri 'rajat'
raaz mere jaanta hai mera dilbar aaina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.