rakh diya hai meri dahliz pe patthar kis ne
rakh diyā hai mirī dahlīz pe patthar kis ne
aur phir bheje haiñ aaseb ke lashkar kis ne
shajar-e-tar na yahāñ barg-e-shanāsā koī
is qarīne se sajāyā hai ye manzar kis ne
kashtiyāñ kaise nikal pā.eñgī giilī tah se
pī liyā chand hī sāñsoñ meñ samundar kis ne
peshvā.ī ke liye bint-e-sabā aa.ī hai
pā-shikasta huuñ banāyā hai qad-āvar kis ne
merī bastī bhī huī sho.ala-zanī meñ shāmil
lā ke chhoḌe haiñ yahāñ aag ke paikar kis ne
rakh diya hai meri dahliz pe patthar kis ne
aur phir bheje hain aaseb ke lashkar kis ne
shajar-e-tar na yahan barg-e-shanasa koi
is qarine se sajaya hai ye manzar kis ne
kashtiyan kaise nikal paengi gili tah se
pi liya chand hi sanson mein samundar kis ne
peshwai ke liye bint-e-saba aai hai
pa-shikasta hun banaya hai qad-awar kis ne
meri basti bhi hui shoala-zani mein shamil
la ke chhoDe hain yahan aag ke paikar kis ne
- Book : Pakistani Adab (Pg. 438)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.