rakh diya maine dar-e-husn pe haara hua ishq
rakh diyā maiñ ne dar-e-husn pe haarā huā ishq
aaj ke ba.ad mirī jaan tumhārā huā ishq
choT gahrī thī magar paañv nahīñ ruk paa.e
ham palaT aa.e vahīñ ham ko dobāra huā ishq
jhilmilātā hai mirī aañkh meñ aañsū ban kar
aa gayā raas mujhe dil meñ utārā huā ishq
sikka-e-vaqt badalte hī sabhī chhoḌ ga.e
zaat ke shahr meñ ik umr sahārā huā ishq
jab bhī hotī hai dar-e-ḳhvāb pe dastak koī
jaag jaatā hai tire hijr kā maarā huā ishq
merī palkoñ se Tapaktā hai lahū ban ke 'amīn'
terī galiyoñ meñ shab-o-roz guzāra huā ishq
rakh diya main ne dar-e-husn pe haara hua ishq
aaj ke baad meri jaan tumhaara hua ishq
choT gahri thi magar panw nahin ruk pae
hum palaT aae wahin hum ko dobara hua ishq
jhilmilata hai meri aankh mein aansu ban kar
aa gaya ras mujhe dil mein utara hua ishq
sikka-e-waqt badalte hi sabhi chhoD gae
zat ke shahr mein ek umr sahaara hua ishq
jab bhi hoti hai dar-e-KHwab pe dastak koi
jag jata hai tere hijr ka mara hua ishq
meri palkon se Tapakta hai lahu ban ke 'amin'
teri galiyon mein shab-o-roz guzara hua ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.