rakh li mathe pe shikan uski nishani jaise
rakh li mathe pe shikan uski nishani jaise
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
rakh lī māthe pe shikan us kī nishānī jaise
na.e ghar meñ ho rakhī chiiz purānī jaise
aise bhūlī hai mirī aañkh hunar rone kā
kisī jharne se bichhaḌ jaa.e ravānī jaise
terī āñkhoñ se bhalā kaise haTā.ūñ āñkheñ
mujh pe khulte hī nahīñ in ke ma.ānī jaise
aa.ina kahne lagā kuchh kamī tujh meñ bhī hai
ham ne bhī pūchh dharā us se ki ya.anī jaise
vo kisī sher meñ Dhal jaa.e ġhanīmat varna
us ko tafsīl se likkhūñgā kahānī jaise
ham tire hijr meñ sahrā kī taraf kyoñ bhāgeñ
ham ne sīkhī hī nahīñ ḳhaak uḌānī jaise
maiñ ne har roz tujhe dil se nikālā to magar
kisī dariyā se nikāle koī paanī jaise
kyā burā hai ki jo bātin hai vahī zāhir hai
ham ko aatī hī nahīñ baat banānī jaise
rakh li mathe pe shikan us ki nishani jaise
nae ghar mein ho rakhi chiz purani jaise
aise bhuli hai meri aankh hunar rone ka
kisi jharne se bichhaD jae rawani jaise
teri aankhon se bhala kaise haTaun aankhen
mujh pe khulte hi nahin in ke maani jaise
aaina kahne laga kuchh kami tujh mein bhi hai
hum ne bhi puchh dhara us se ki yani jaise
wo kisi sher mein Dhal jae ghanimat warna
us ko tafsil se likkhunga kahani jaise
hum tere hijr mein sahra ki taraf kyon bhagen
hum ne sikhi hi nahin KHak uDani jaise
main ne har roz tujhe dil se nikala to magar
kisi dariya se nikale koi pani jaise
kya bura hai ki jo baatin hai wahi zahir hai
hum ko aati hi nahin baat banani jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.