rakha dhyan jis ne tumhaari KHushi ka
rakhā dhyān jis ne tumhārī ḳhushī kā
dukhāyā hai dil tum ne pal-pal usī kā
jise dekhtā hai haqārat se tū ab
vo hissa thā ik din tirī zindagī kā
kareñge du'ā āḳhirī saañs tak ham
sabhī ḳhush raheñ dil na TuuTe kisī kā
mire dost samjho mirī bhāvnā ko
na pūchho sabab mujh se tum bebasī kā
kamī rah ga.ī kyā mirī sādhnā meñ
sila kyoñ na tum de sake bandagī kā
tujhe dekh kar gungunātī haiñ sāñseñ
mirā dil hai qaa.il tirī sādgī kā
kahīñ le na jaa.e churā ke mirā dil
gulābī colour ye tirī oḌhnī kā
rakha dhyan jis ne tumhaari KHushi ka
dukhaya hai dil tum ne pal-pal usi ka
jise dekhta hai haqarat se tu ab
wo hissa tha ek din teri zindagi ka
karenge du'a aaKHiri sans tak hum
sabhi KHush rahen dil na TuTe kisi ka
mere dost samjho meri bhawna ko
na puchho sabab mujh se tum bebasi ka
kami rah gai kya meri sadhna mein
sila kyon na tum de sake bandagi ka
tujhe dekh kar gungunati hain sansen
mera dil hai qail teri sadgi ka
kahin le na jae chura ke mera dil
gulabi colour ye teri oDhni ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.