rakhe showcase mein ya toD Dale
rakhe showcase meñ yā toḌ Daale
ye dil maiñ kar chukā us ke havāle
Darā pā.eñge kyā ye barchhī bhāle
tire jauhar haiñ saare dekhe-bhāle
bahut kuchh bolne ko hai magar ab
zabāñ par maslahat Daale haiñ taale
tumhāre qahqahe tum ko mubārak
hamāre muskurāne ke haiñ laale
jafā jis din se chillāne lagī hai
vafā bhī kaan meñ hai tel Daale
tirī ātish-fishāñ bātoñ ko sun kar
ubhar aa.e mire kānoñ meñ chhāle
amaañ 'muḳhtār' chhoḌo shā.erī ko
kahāñ baiThe hue ho rog paale
rakhe showcase mein ya toD Dale
ye dil main kar chuka us ke hawale
Dara paenge kya ye barchhi bhaale
tere jauhar hain sare dekhe-bhaale
bahut kuchh bolne ko hai magar ab
zaban par maslahat Dale hain tale
tumhaare qahqahe tum ko mubarak
hamare muskurane ke hain lale
jafa jis din se chillane lagi hai
wafa bhi kan mein hai tel Dale
teri aatish-fishan baaton ko sun kar
ubhar aae mere kanon mein chhaale
aman 'muKHtar' chhoDo shaeri ko
kahan baiThe hue ho rog pale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.