rakhi hai husn pe buniyaad-e-ashiqi maine
rakhī hai husn pe buniyād-e-āshiqī maiñ ne
ḳhushī se maut ko de dī hai zindagī maiñ ne
kiyā kabhī na sivā tere ġhair ko sajda
ḳharāb-e-shirk na kī rasm-e-bandagī maiñ ne
ḳhudā.ī mil ga.ī sarkār-e-ishq se mujh ko
ḳhudī ke badle talab kī jo be-ḳhudī maiñ ne
chhalaktā sāġhar-e-mai pī ke chashm-e-sāqī se
sikhā.ī saare zamāna ko mai-kashī maiñ ne
bahār-e-gor-e-ġharībāñ na kyoñ lahad ho mirī
ki jam.a kī hai zamāne kī bekasī maiñ ne
badal ke rañg Darā.e na āsmāñ mujh ko
mizāj-e-yār kī dekhī hai barhamī maiñ ne
batā ke aib-o-hunar sher-goī ke 'afqar'
sikhā.ī apne harīfoñ ko shā.irī maiñ ne
rakhi hai husn pe buniyaad-e-ashiqi main ne
KHushi se maut ko de di hai zindagi main ne
kiya kabhi na siwa tere ghair ko sajda
KHarab-e-shirk na ki rasm-e-bandagi main ne
KHudai mil gai sarkar-e-ishq se mujh ko
KHudi ke badle talab ki jo be-KHudi main ne
chhalakta saghar-e-mai pi ke chashm-e-saqi se
sikhai sare zamana ko mai-kashi main ne
bahaar-e-gor-e-ghariban na kyon lahad ho meri
ki jama ki hai zamane ki bekasi main ne
badal ke rang Darae na aasman mujh ko
mizaj-e-yar ki dekhi hai barhami main ne
bata ke aib-o-hunar sher-goi ke 'afqar'
sikhai apne harifon ko shairi main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.