rakhiye zaban-e-Khaar hamari zaban ke sath
rakhiye zabān-e-ḳhār hamārī zabāñ ke saath
is kā bayāñ milegā hamāre bayāñ ke saath
kyā jāneñ kyoñ hamārī yaqīñ se na nibh sakī
ham aaj tak nibāh rahe haiñ gumāñ ke saath
ek ek bhed khol ke chhoḌeñge us kā ham
ab zid sī ho ga.ī hai hameñ āsmāñ ke saath
lagtā hai jaise baat koī besh-o-kam kī hai
phir aaj shaiḳh uljhe haiñ pīr-e-muġhāñ ke saath
sīkheñge kis se paar utarne kā aap fan
ham ne to bāñdh rakkhe haiñ patthar zabāñ ke saath
vo to sulūk kartā rahā hai burā-bhalā
ham bhī bigāḌ baiThe haiñ yaaro jahāñ ke saath
be-lutf aisī ho ga.ī 'rāhat' ye zindagī
jaise bigaḌ ga.ī ho kisī meherbāñ ke saath
rakhiye zaban-e-KHar hamari zaban ke sath
is ka bayan milega hamare bayan ke sath
kya jaanen kyon hamari yaqin se na nibh saki
hum aaj tak nibah rahe hain guman ke sath
ek ek bhed khol ke chhoDenge us ka hum
ab zid si ho gai hai hamein aasman ke sath
lagta hai jaise baat koi besh-o-kam ki hai
phir aaj shaiKH uljhe hain pir-e-mughan ke sath
sikhenge kis se par utarne ka aap fan
hum ne to bandh rakkhe hain patthar zaban ke sath
wo to suluk karta raha hai bura-bhala
hum bhi bigaD baiThe hain yaro jahan ke sath
be-lutf aisi ho gai 'rahat' ye zindagi
jaise bigaD gai ho kisi meherban ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.