rakhna hai to phulon ko tu rakh le nigahon mein
rakhnā hai to phūloñ ko tū rakh le nigāhoñ meñ
ḳhushbū to musāfir hai kho jā.egī rāhoñ meñ
kyuuñ merī mohabbat se barham ho zamīñ vaalo
ik aur gunah rakh lo duniyā ke gunāhoñ meñ
kaifiyat-e-mai dil kā darmāñ na huī lekin
rañgīñ to rahī duniyā kuchh der nigāhoñ meñ
kāñToñ se guzar jaanā dushvār nahīñ lekin
kāñTe hī nahīñ yaaro kaliyāñ bhī haiñ rāhoñ meñ
parda ho to parda ho is parde ko kyā kahiye
chhupte haiñ nigāhoñ se rahte haiñ nigāhoñ meñ
yārān-e-rah-e-ġhurbat kyā ho ga.e kyā kahiye
kuchh so ga.e manzil par kuchh kho ga.e rāhoñ meñ
guzrī huī sadiyoñ ko āġhāz-e-safar samjho
maazī abhī kam-sin hai fardā kī nigāhoñ meñ
rañgīñ hai 'shamīm' ab tak pairāhan-e-jāñ apnā
ham raat guzār aa.e kis ḳhvāb kī bāñhoñ meñ
rakhna hai to phulon ko tu rakh le nigahon mein
KHushbu to musafir hai kho jaegi rahon mein
kyun meri mohabbat se barham ho zamin walo
ek aur gunah rakh lo duniya ke gunahon mein
kaifiyat-e-mai dil ka darman na hui lekin
rangin to rahi duniya kuchh der nigahon mein
kanTon se guzar jaana dushwar nahin lekin
kanTe hi nahin yaro kaliyan bhi hain rahon mein
parda ho to parda ho is parde ko kya kahiye
chhupte hain nigahon se rahte hain nigahon mein
yaran-e-rah-e-ghurbat kya ho gae kya kahiye
kuchh so gae manzil par kuchh kho gae rahon mein
guzri hui sadiyon ko aaghaz-e-safar samjho
mazi abhi kam-sin hai farda ki nigahon mein
rangin hai 'shamim' ab tak pairahan-e-jaan apna
hum raat guzar aae kis KHwab ki banhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.