rakhna ya fehrist mein tum mera nam na rakhna
rakhnā yā fehrist meñ tum mirā naam na rakhnā
mujh ko is uljhan se koī kaam na rakhnā
saare bose ḳhaak meñ mil ga.e aate aate
ab ke havā ke haath meñ ye paiġhām na rakhnā
shab ke musāfir aur phir aisī shab ke musāfir
dekh hamārī aas charāġh-e-shām na rakhnā
varna ḳhālī ho jā.eñge saare ḳhazāne
ā.inda kisī sar pe koī in'ām na rakhnā
aise shor ke shahr meñ itnā maddham lahja
ūñchā sunñe vāloñ par ilzām na rakhnā
maiñ chāhūñ mire dil kā lahū kisī kaam aa jaa.e
mausam chāhe chehroñ ko gulfām na rakhnā
rakhna ya fehrist mein tum mera nam na rakhna
mujh ko is uljhan se koi kaam na rakhna
sare bose KHak mein mil gae aate aate
ab ke hawa ke hath mein ye paigham na rakhna
shab ke musafir aur phir aisi shab ke musafir
dekh hamari aas charagh-e-sham na rakhna
warna KHali ho jaenge sare KHazane
aainda kisi sar pe koi in'am na rakhna
aise shor ke shahr mein itna maddham lahja
uncha sunne walon par ilzam na rakhna
main chahun mere dil ka lahu kisi kaam aa jae
mausam chahe chehron ko gulfam na rakhna
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 46)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.