Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rakhta hai sada honT ko jun gul ki kali chup

Nazeer Akbarabadi

rakhta hai sada honT ko jun gul ki kali chup

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    rakhtā hai sadā hoñT ko juuñ gul kalī chup

    vo ġhuncha-dahan aah ye sīkhā hai bhalī chup

    sotā hai to letā huuñ maiñ yuuñ chorī se bosa

    juuñ muñh meñ khilā de koī misrī Dalī chup

    minnat se kahā ham ne to tum aah na bole

    jab ġhair ne gudgudī phir kuchh na chalī chup

    parvāne se āshiq ke ta.iiñ sham.a jalā kar

    phir aap bhī rotī hai khaḌī baḳht-jalī chup

    sabzī bhī ugī baaġh meñ ġhunche bhī khile aah

    par is marī gūñgī ke laboñ se na Talī chup

    ġhusse meñ raqīb aatā hai jab bhuut ban kar

    paḌhtā huuñ maiñ jab dil meñ khaḌā na.at-e-alī chup

    mar jaa.eñ pa shikve kabhī baat na nikle

    ye hoñT vo haiñ jin meñ azal se hai palī chup

    jis dam ye ḳhabar ke raqīboñ ko huī phir

    bas sunte sun ho ga.e aur saañs na chup

    ulTī samajh yaar suntā hai 'nazīr' aah

    zinhār na kuchh boliyo yaañ sab se bhalī chup

    rakhta hai sada honT ko jun gul ki kali chup

    wo ghuncha-dahan aah ye sikha hai bhali chup

    sota hai to leta hun main yun chori se bosa

    jun munh mein khila de koi misri ki Dali chup

    minnat se kaha hum ne to tum aah na bole

    jab ghair ne ki gudgudi phir kuchh na chali chup

    parwane se aashiq ke tain shama jala kar

    phir aap bhi roti hai khaDi baKHt-jali chup

    sabzi bhi ugi bagh mein ghunche bhi khile aah

    par is mari gungi ke labon se na Tali chup

    ghusse mein raqib aata hai jab bhut sa ban kar

    paDhta hun main jab dil mein khaDa nat-e-ali chup

    mar jaen pa shikwe ki kabhi baat na nikle

    ye honT wo hain jin mein azal se hai pali chup

    jis dam ye KHabar ja ke raqibon ko hui phir

    bas sunte hi sun ho gae aur sans na li chup

    ulTi hi samajh yar ki sunta hai 'nazir' aah

    zinhaar na kuchh boliyo yan sab se bhali chup

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now