rakhte hain rasm-o-rah kisi KHud-nigar se hum
rakhte haiñ rasm-o-rāh kisī ḳhud-nigar se ham
lete haiñ kaam vus.at-e-fikr-o-nazar se ham
nā-āshnā-e-manzil-e-maqsūd haiñ to kyā
pīchhe nahīñ raheñge kisī ham-safar se ham
kuchh aap ke ḳhayāl ne ġhāfil banā diyā
kuchh apne aap se bhī rahe be-ḳhabar se ham
kyā e.atibār is ġham-e-be-e'tibār kā
jab mutma.in nahīñ haiñ ġham-e-mo'tabar se ham
vo daur shāyad aa ke guzar bhī gayā 'atīq'
jis daur-e-ḳhush-gavār ke haiñ muntazir se ham
rakhte hain rasm-o-rah kisi KHud-nigar se hum
lete hain kaam wusat-e-fikr-o-nazar se hum
na-ashna-e-manzil-e-maqsud hain to kya
pichhe nahin rahenge kisi ham-safar se hum
kuchh aap ke KHayal ne ghafil bana diya
kuchh apne aap se bhi rahe be-KHabar se hum
kya eatibar is gham-e-be-e'tibar ka
jab mutmain nahin hain gham-e-mo'tabar se hum
wo daur shayad aa ke guzar bhi gaya 'atiq'
jis daur-e-KHush-gawar ke hain muntazir se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.