rakkha sanjo ke gauhar-e-nayab ki tarah
rakkhā sañjo ke gauhar-e-nāyāb kī tarah
sauñpī thī jo buzurgoñ ne ādāb kī tarah
uThte hī un ke harf bhī saare bikhar ga.e
jin kā vajūd ghar meñ thā eraab kī tarah
kuchh khurdure se dhāge bhī chādar meñ us kī haiñ
kab zindagī hai resham-o-kam-ḳhvāb kī tarah
dukh hī nahīñ haiñ zahr-e-halāhal faqat yahāñ
sukh bhī milā hai bārhā zahrāb kī tarah
aksar huā hai aisā ki chhoTī sī mauj bhī
sab kuchh bahā ke le ga.ī sailāb kī tarah
rakkha sanjo ke gauhar-e-nayab ki tarah
saunpi thi jo buzurgon ne aadab ki tarah
uThte hi un ke harf bhi sare bikhar gae
jin ka wajud ghar mein tha erab ki tarah
kuchh khurdure se dhage bhi chadar mein us ki hain
kab zindagi hai resham-o-kam-KHwab ki tarah
dukh hi nahin hain zahr-e-halahal faqat yahan
sukh bhi mila hai barha zahrab ki tarah
aksar hua hai aisa ki chhoTi si mauj bhi
sab kuchh baha ke le gai sailab ki tarah
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.