rakkha to hai sanbhaal ke paya hua sa kuchh
rakkhā to hai sañbhāl ke paayā huā sā kuchh
lekin abhī bhī dil meñ hai khoyā huā sā kuchh
ye kis dayār-e-ġhair meñ hai kārvāñ mirā
mahsūs kar rahā huuñ maiñ bhaTkā huā sā kuchh
baiThā to huuñ sameT ke maiñ apne aap ko
par terī rah-guzar pe huuñ bikhrā huā sā kuchh
kab tak sañbhāl pāoge rishtoñ kī Dor ko
suljhā huā sā kuchh hai to uljhā huā sā kuchh
ḳhāmoshiyoñ kī 'ādat-e-bejā hai is-qadar
pattā bhī khaḌkhaḌā.e to dhaḌkā huā sā kuchh
ham ne tumhāre naam pe tahrīr kar to dī
sochā huā sā kuchh hai to likkhā huā sā kuchh
āñkhoñ meñ ashk aa.e the ham ne chhupā liye
hañstā huā sā kuchh hai to rotā huā sā kuchh
zulfoñ ke is hisār se bāhar nikal 'samīr'
zulfoñ ke is hisār meñ phañstā huā sā kuchh
rakkha to hai sanbhaal ke paya hua sa kuchh
lekin abhi bhi dil mein hai khoya hua sa kuchh
ye kis dayar-e-ghair mein hai karwan mera
mahsus kar raha hun main bhaTka hua sa kuchh
baiTha to hun sameT ke main apne aap ko
par teri rah-guzar pe hun bikhra hua sa kuchh
kab tak sanbhaal paoge rishton ki Dor ko
suljha hua sa kuchh hai to uljha hua sa kuchh
KHamoshiyon ki 'adat-e-beja hai is-qadar
patta bhi khaDkhaDae to dhaDka hua sa kuchh
hum ne tumhaare nam pe tahrir kar to di
socha hua sa kuchh hai to likkha hua sa kuchh
aankhon mein ashk aae the hum ne chhupa liye
hansta hua sa kuchh hai to rota hua sa kuchh
zulfon ke is hisar se bahar nikal 'samir'
zulfon ke is hisar mein phansta hua sa kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.