ram-e-jawedana ghazal hi to hai
ram-e-jāvedāna ġhazal hī to hai
surūd-e-shabāna ġhazal hī to hai
numāyāñ kiyā jis ne is daur ko
vo hūr-e-yagāna ġhazal hī to hai
nihāñ jis meñ sadiyoñ kī tashkīl hai
vo zarrīñ tarāna ġhazal hī to hai
adab kā agar irtiqā hai to ye
urūs-e-zamāna ġhazal hī to hai
ye sirr-e-hasīñ sab ko batlā 'azīm'
yam-e-be-karāna ġhazal hī to hai
ram-e-jawedana ghazal hi to hai
surud-e-shabana ghazal hi to hai
numayan kiya jis ne is daur ko
wo hur-e-yagana ghazal hi to hai
nihan jis mein sadiyon ki tashkil hai
wo zarrin tarana ghazal hi to hai
adab ka agar irtiqa hai to ye
urus-e-zamana ghazal hi to hai
ye sirr-e-hasin sab ko batla 'azim'
yam-e-be-karana ghazal hi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.