ramz-ashna mile kai ahl-e-nazar mile
ramz-āshnā mile ka.ī ahl-e-nazar mile
phir bhī ye justujū rahī koī bashar mile
aadil bhī ho rahīm bhī ho kārsāz bhī
sab kuchh to ho magar zarā ham se nazar mile
inkār-e-sajda hai yahāñ kis rū-siyāh ko
shāyān-e-sajda bhī to magar koī dar mile
ye hai kamāl-e-jahl ki me.arāj-e-āgahī
har lamha justujū hai kuchh apnī ḳhabar mile
aish-e-gurez-pā kā tasavvur bhī miT gayā
ġham aise mustaqil mile aur is qadar mile
ramz-ashna mile kai ahl-e-nazar mile
phir bhi ye justuju rahi koi bashar mile
aadil bhi ho rahim bhi ho karsaz bhi
sab kuchh to ho magar zara hum se nazar mile
inkar-e-sajda hai yahan kis ru-siyah ko
shayan-e-sajda bhi to magar koi dar mile
ye hai kamal-e-jahl ki mearaj-e-agahi
har lamha justuju hai kuchh apni KHabar mile
aish-e-gurez-pa ka tasawwur bhi miT gaya
gham aise mustaqil mile aur is qadar mile
- Book : Kufr-o-iman (Pg. 78)
- Author : Hari chand Akhtar
- Publication : Satpaal, kucha Khakan Urdu Bazar- Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.