Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rang aankhon se bhi lagta hai naya ho jaise

Shahabullah Shahab

rang aankhon se bhi lagta hai naya ho jaise

Shahabullah Shahab

MORE BYShahabullah Shahab

    rang āñkhoñ se bhī lagtā hai nayā ho jaise

    dil dhaḌkan ne koī saaz bunā ho jaise

    us āñkhoñ meñ the paiġhām hazāroñ lekin

    terī ḳhātir thā jo raushan vo judā ho jaise

    ab to bas yaad hai itnā ta'āruf us se

    koī raste meñ achānak milā ho jaise

    us jhapkan meñ mirā naam thā maiñ chauñk gayā

    mujh ko lagtā thā ki har shai ne sunā ho jaise

    tum mirā haal sunoge to pareshāñ hoge

    ujḌī qabroñ se diyā TuuTā milā ho jaise

    us maiñ naam jo dohrā.ūñ bhalā lagtā hai

    naam us ye farishtoñ ne rakhā ho jaise

    ab añdheroñ meñ bhī chalne maiñ 'aadī huuñ 'shahāb'

    mere is dil meñ mohabbat diyā ho jaise

    rang aankhon se bhi lagta hai naya ho jaise

    dil ki dhaDkan ne koi saz buna ho jaise

    us ki aankhon mein the paigham hazaron lekin

    teri KHatir tha jo raushan wo juda ho jaise

    ab to bas yaad hai itna hi ta'aruf us se

    koi raste mein achanak hi mila ho jaise

    us ki jhapkan mein mera nam tha main chaunk gaya

    mujh ko lagta tha ki har shai ne suna ho jaise

    tum mera haal sunoge to pareshan hoge

    ujDi qabron se diya TuTa mila ho jaise

    us ka main nam jo dohraun bhala lagta hai

    nam us ka ye farishton ne rakha ho jaise

    ab andheron mein bhi chalne ka main 'adi hun 'shahab'

    mere is dil mein mohabbat ka diya ho jaise

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now