rang aansu hansi samajhte the
rang aañsū hañsī samajhte the
tum mirī an-kahī samajhte the
sirf sohbat kā faiz hai varna
ḳhaak ham zindagī samajhte the
dil-mohalle ko chhoḌne vaale
saañs kī symphony samajhte the
ḳhalvat-e-jāñ meñ bazm-ārā.ī
dasht ko qais hī samajhte the
nāsehā ek daur thā ham bhī
'ishq ko dil-lagī samajhte the
ab jo samjhe nahīñ gila kaisā
aap pahle kabhī samajhte the
dāman-e-koh-e-ġham ke bāshinde
dāstān-e-ḳhafī samajhte the
rang aansu hansi samajhte the
tum meri an-kahi samajhte the
sirf sohbat ka faiz hai warna
KHak hum zindagi samajhte the
dil-mohalle ko chhoDne wale
sans ki symphony samajhte the
KHalwat-e-jaan mein bazm-arai
dasht ko qais hi samajhte the
naseha ek daur tha hum bhi
'ishq ko dil-lagi samajhte the
ab jo samjhe nahin gila kaisa
aap pahle kabhi samajhte the
daman-e-koh-e-gham ke bashinde
dastan-e-KHafi samajhte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.