rang ab yun teri taswir mein bharta jaun
rang ab yuuñ tirī tasvīr meñ bhartā jā.ūñ
tujh pe rang aa.e maiñ jaañ se bhī guzartā jā.ūñ
vo diyā huuñ ki havāoñ se bhī Dartā jā.ūñ
fart-e-pindār se phir raqs bhī kartā jā.ūñ
'ajab āshob diyā mere ḳhudā ne mujh ko
ik tamannā-e-masīhā.ī meñ martā jā.ūñ
mujh ko jhuTlātī rahīñ vo mirī munkir āñkheñ
aur maiñ sūrat-e-ḳhurshīd ubhartā jā.ūñ
mere chehre pe na jaao ki mirā husn hai ye
apne likkhe hue lafzoñ meñ nikhartā jā.ūñ
aisī tanhā.ī kā 'ālam hai ki har shaḳhs ke paas
ik pazīrā.ī kī hasrat meñ Thahartā jā.ūñ
'shauq' shā'ir bhī huuñ andesha-e-jāñ bhī hai mujhe
ruuh meñ shor karūñ lafz meñ Dartā jā.ūñ
rang ab yun teri taswir mein bharta jaun
tujh pe rang aae main jaan se bhi guzarta jaun
wo diya hun ki hawaon se bhi Darta jaun
fart-e-pindar se phir raqs bhi karta jaun
'ajab aashob diya mere KHuda ne mujh ko
ek tamanna-e-masihai mein marta jaun
mujh ko jhuTlati rahin wo meri munkir aankhen
aur main surat-e-KHurshid ubharta jaun
mere chehre pe na jao ki mera husn hai ye
apne likkhe hue lafzon mein nikharta jaun
aisi tanhai ka 'alam hai ki har shaKHs ke pas
ek pazirai ki hasrat mein Thaharta jaun
'shauq' sha'ir bhi hun andesha-e-jaan bhi hai mujhe
ruh mein shor karun lafz mein Darta jaun
- Book : naquush (Pg. 280)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.