rang ashkon ka badalne bhi nahin deta wo
rañg ashkoñ kā badalne bhī nahīñ detā vo
aur mujhe ghar se nikalne bhī nahīñ detā vo
Dastā rahtā hai bahut merī anā ko pal-pal
apnī qurbat se nikalne bhī nahīñ detā vo
zabt chehre kī tamāzat se ayaañ hai lekin
merī āñkhoñ ko ubalne bhī nahīñ detā vo
kāġhaz-e-dil ko bhigotā hai na.e ashkoñ se
phir ye kāġhaz kabhī jalne bhī nahīñ detā vo
bas Darātā hai ki us raah pe phislan hai bahut
ishq kī raah pe chalne bhī nahīñ detā vo
chāhtā hai ki maiñ gir jā.ūñ nazar se us kī
is liye mujh ko sambhalne bhī nahīñ detā vo
mere kirdār meñ Dhaltā bhī nahīñ ḳhud 'rāhī'
apne kirdār meñ Dhalne bhī nahīñ detā vo
rang ashkon ka badalne bhi nahin deta wo
aur mujhe ghar se nikalne bhi nahin deta wo
Dasta rahta hai bahut meri ana ko pal-pal
apni qurbat se nikalne bhi nahin deta wo
zabt chehre ki tamazat se ayan hai lekin
meri aankhon ko ubalne bhi nahin deta wo
kaghaz-e-dil ko bhigota hai nae ashkon se
phir ye kaghaz kabhi jalne bhi nahin deta wo
bas Daraata hai ki us rah pe phislan hai bahut
ishq ki rah pe chalne bhi nahin deta wo
chahta hai ki main gir jaun nazar se us ki
is liye mujh ko sambhalne bhi nahin deta wo
mere kirdar mein Dhalta bhi nahin KHud 'rahi'
apne kirdar mein Dhalne bhi nahin deta wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.