rañg aur ruup meñ sone se kharī hotī hai
dil kī vo rag jo mohabbat se bharī hotī hai
āshiyāne ko panapne nahīñ detī duniyā
barq gir paḌtī hai jab shāḳh harī hotī hai
jheñp jaatā hai chaTaktī huī kaliyoñ kā shabāb
mast āñkhoñ meñ agar niiñd bharī hotī hai
ashk barsātī huī aatī hai gulshan meñ bahār
phuul khilte haiñ to shabnam kī tarī hotī hai
arsh-o-kursī-o-falak dair-o-haram ka.aba-e-dil
phir bhī mahdūd tirī jalvagarī hotī hai
kahkashāñ dekhtī hai us kī tajallī kā nikhār
jis kī añgḌā.ī meñ jādū-asarī hotī hai
din ko gar dhuup kī chādar meñ sukūñ miltā hai
raat ab ḳhatm charāġh-e-saharī hotī hai
yaad aa jaatī hai ḳhud apnī nikhartī tauba
jaam meñ jab mai-e-ḳhush-rañg bharī hotī hai
chāhe lafzoñ meñ kahe chāhe ishāroñ se kahe
'fazl' jo baat bhī kahtā hai kharī hotī hai
rang aur rup mein sone se khari hoti hai
dil ki wo rag jo mohabbat se bhari hoti hai
aashiyane ko panapne nahin deti duniya
barq gir paDti hai jab shaKH hari hoti hai
jhenp jata hai chaTakti hui kaliyon ka shabab
mast aankhon mein agar nind bhari hoti hai
ashk barsati hui aati hai gulshan mein bahaar
phul khilte hain to shabnam ki tari hoti hai
arsh-o-kursi-o-falak dair-o-haram kaba-e-dil
phir bhi mahdud teri jalwagari hoti hai
kahkashan dekhti hai us ki tajalli ka nikhaar
jis ki angDai mein jadu-asari hoti hai
din ko gar dhup ki chadar mein sukun milta hai
raat ab KHatm charagh-e-sahari hoti hai
yaad aa jati hai KHud apni nikharti tauba
jam mein jab mai-e-KHush-rang bhari hoti hai
chahe lafzon mein kahe chahe ishaaron se kahe
'fazl' jo baat bhi kahta hai khari hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.