rang aur rup se jo baala hai
rañg aur ruup se jo baalā hai
kis qayāmat ke naqsh vaalā hai
chaap ubhrī hai dil ke andar se
koī palkoñ pe aane vaalā hai
zindagī hai lahū kā ik chhīñTā
umr zaḳhmoñ kī dīp-mālā hai
tol saktā hai kaun ḳhushbū ko
phir bhī ham ne ye rog paalā hai
kitnā ābād hai ghanā jañgal
kaisā sunsān ye shivālā hai
dekh is terī chāñdnī-shab ne
kitne tāroñ ko rauñd Daalā hai
kapkapāne lage haiñ lab us ke
jaane kyā baat karne vaalā hai
rang aur rup se jo baala hai
kis qayamat ke naqsh wala hai
chap ubhri hai dil ke andar se
koi palkon pe aane wala hai
zindagi hai lahu ka ek chhinTa
umr zaKHmon ki dip-mala hai
tol sakta hai kaun KHushbu ko
phir bhi hum ne ye rog pala hai
kitna aabaad hai ghana jangal
kaisa sunsan ye shiwala hai
dekh is teri chandni-shab ne
kitne taron ko raund Dala hai
kapkapane lage hain lab us ke
jaane kya baat karne wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.