rang badla hai kai din se mizaj-e-yar ka
rañg badlā hai ka.ī din se mizāj-e-yār kā
joḌ shāyad chal gayā phir aaj kal aġhyār kā
kas qadar paayā savedā-e-dil-e-āshiq ne auj
rafta rafta til banā āḳhir tire ruḳhsār kā
ab to aa kar dekh jaanā chāhiye tujh ko zarūr
haal hai nau-e-digar iisā tire bīmār kā
be-ḳhudī meñ zaḳhm-e-dil par jabki paḌtī hai nazar
hotā hai dhokā tumhāre rauzan-e-dīvār kā
hāl-e-dard-e-dil bayāñ kis se karūñ maiñ bad-nasīb
tū hī jab pursāñ na ho le mere hāl-e-zār kā
baat karnā ho gayā mushkil butoñ ke sāmne
paḌ gayā phandā gale meñ rishta-e-zunnār kā
ho gayā huuñ nā-tavāñ aisā tumhāre hijr meñ
toḌnā mushkil huā hai āñsuoñ ke taar kā
ik faqat tere kashīda hone se ye haal hai
bhāgtā hai saaya tak mujh se tirī dīvār kā
nā-tavāñ aisā huuñ pis kar ḳhaak ho jā.ūñ abhī
saaya paḌ jaa.e agar mujh par tirī dīvār kā
ab to sūrat apnī dikhlāo ḳhudā ke vāste
dam nikaltā hai tumhāre tālib-e-dīdār kā
apnī kam-fahmī se 'anjum' ham nihāyat tañg haiñ
zehn meñ aatā nahīñ mazmūñ dahān-e-yār kā
rang badla hai kai din se mizaj-e-yar ka
joD shayad chal gaya phir aaj kal aghyar ka
kas qadar paya saweda-e-dil-e-ashiq ne auj
rafta rafta til bana aaKHir tere ruKHsar ka
ab to aa kar dekh jaana chahiye tujh ko zarur
haal hai nau-e-digar isa tere bimar ka
be-KHudi mein zaKHm-e-dil par jabki paDti hai nazar
hota hai dhoka tumhaare rauzan-e-diwar ka
haal-e-dard-e-dil bayan kis se karun main bad-nasib
tu hi jab pursan na ho le mere haal-e-zar ka
baat karna ho gaya mushkil buton ke samne
paD gaya phanda gale mein rishta-e-zunnar ka
ho gaya hun na-tawan aisa tumhaare hijr mein
toDna mushkil hua hai aansuon ke tar ka
ek faqat tere kashida hone se ye haal hai
bhagta hai saya tak mujh se teri diwar ka
na-tawan aisa hun pis kar KHak ho jaun abhi
saya paD jae agar mujh par teri diwar ka
ab to surat apni dikhlao KHuda ke waste
dam nikalta hai tumhaare talib-e-didar ka
apni kam-fahmi se 'anjum' hum nihayat tang hain
zehn mein aata nahin mazmun dahan-e-yar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.