rang bharna kabhi KHakon mein kahani likhna
rang bharnā kabhī ḳhākoñ meñ kahānī likhnā
dāstāñ ġham kī koī yaad purānī likhnā
dekhnā jo bhī samo denā use lafzoñ meñ
kabhī auroñ kī kabhī apnī kahānī likhnā
kholnā jab kabhī guzre hue lamhoñ ke kivāḌ
sub.h armān-bharī shaam suhānī likhnā
pahle rakh denā charāġhoñ ko sar-e-rāh-guzar
phir kisī bhaTke musāfir kī kahānī likhnā
kabhī rim-jhim kabhī ḳhushbū to kabhī bād-e-nasīm
us ke lahje ko bahāroñ kī javānī likhnā
yaad meñ us kī jo takiye ko bhigo dete haiñ
un ko motī hī nahīñ lā’l-e-yamānī likhnā
dard aur pyaar meñ kyā rishta hai is ko bhī kabhī
de jo mohlat tumheñ ashkoñ kī ravānī likhnā
chand ash'ār se kyā hogī tasallī 'tasnīm'
likhne baiThī ho to ab saarī kahānī likhnā
rang bharna kabhi KHakon mein kahani likhna
dastan gham ki koi yaad purani likhna
dekhna jo bhi samo dena use lafzon mein
kabhi auron ki kabhi apni kahani likhna
kholna jab kabhi guzre hue lamhon ke kiwaD
subh arman-bhari sham suhani likhna
pahle rakh dena charaghon ko sar-e-rah-guzar
phir kisi bhaTke musafir ki kahani likhna
kabhi rim-jhim kabhi KHushbu to kabhi baad-e-nasim
us ke lahje ko bahaaron ki jawani likhna
yaad mein us ki jo takiye ko bhigo dete hain
un ko moti hi nahin la’l-e-yamani likhna
dard aur pyar mein kya rishta hai is ko bhi kabhi
de jo mohlat tumhein ashkon ki rawani likhna
chand ash'ar se kya hogi tasalli 'tasnim'
likhne baiThi ho to ab sari kahani likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.