rang-birangi yaadon ka gul-dan bacha hai le de kar
rang-birangī yādoñ kā gul-dān bachā hai le de kar
mere jiine kā bas ik sāmān bachā hai le de kar
khāne piine kī sab chīzeñ mahñgā.ī kī nazr huiiñ
mehmānoñ ke aage dastarḳhvān bachā hai le de kar
raddī kāġhaz kī qīmat meñ bachche us ko bech na deñ
ghar meñ jo 'ġhālib' kā ik dīvān bachā hai le de kar
baap kī saarī jāgīreñ to baañT liiñ mil kar beToñ ne
maañ ke hisse meñ ghar kā dālān bachā hai le de kar
daulat aurat aur shohrat kī dīvānī is duniyā meñ
mushkil se kuchh logoñ kā īmān bachā hai le de kar
kyā jaane barsāt kaTegī kaise mere bachchoñ kī
ghar kī Dherī meñ thoḌā sā dhaan bachā hai le de kar
chal kar ab 'dīdār' vahīñ par ghar apnā ābād karo
gaañv meñ jo purkhoñ kā ik khaliyān bachā le de kar
rang-birangi yaadon ka gul-dan bacha hai le de kar
mere jine ka bas ek saman bacha hai le de kar
khane pine ki sab chizen mahngai ki nazr huin
mehmanon ke aage dastarKHwan bacha hai le de kar
raddi kaghaz ki qimat mein bachche us ko bech na den
ghar mein jo 'ghaalib' ka ek diwan bacha hai le de kar
bap ki sari jagiren to banT lin mil kar beTon ne
man ke hisse mein ghar ka dalan bacha hai le de kar
daulat aurat aur shohrat ki diwani is duniya mein
mushkil se kuchh logon ka iman bacha hai le de kar
kya jaane barsat kaTegi kaise mere bachchon ki
ghar ki Dheri mein thoDa sa dhan bacha hai le de kar
chal kar ab 'didar' wahin par ghar apna aabaad karo
ganw mein jo purkhon ka ek khaliyan bacha le de kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.