rang-e-duniya itna gahra ho gaya
rang-e-duniyā itnā gahrā ho gayā
aadmī kā rang phīkā ho gayā
raat kyā hotī hai ham se pochhiye
aap to so.e saverā ho gayā
aaj ḳhud ko bechne nikle the ham
aaj hī bāzār manda ho gayā
ġham añdhere kā nahīñ 'dānish' magar
vaqt se pahle añdherā ho gayā
rang-e-duniya itna gahra ho gaya
aadmi ka rang phika ho gaya
raat kya hoti hai hum se pochhiye
aap to soe sawera ho gaya
aaj KHud ko bechne nikle the hum
aaj hi bazar manda ho gaya
gham andhere ka nahin 'danish' magar
waqt se pahle andhera ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.