rang-e-duniya kitna gahra ho gaya
rañg-e-duniyā kitnā gahrā ho gayā
aadmī kā rañg phīkā ho gayā
raat kyā hotī hai ham se pūchhiye
aap to so.e saverā ho gayā
Dūbne kī zid pe kashtī aa ga.ī
bas yahīñ majbūr dariyā ho gayā
aaj ḳhud ko bechne nikle the ham
aaj hī bāzār manda ho gayā
ġham añdhere kā nahīñ 'dānish' magar
vaqt se pahle añdherā ho gayā
rang-e-duniya kitna gahra ho gaya
aadmi ka rang phika ho gaya
raat kya hoti hai hum se puchhiye
aap to soe sawera ho gaya
Dubne ki zid pe kashti aa gai
bas yahin majbur dariya ho gaya
aaj KHud ko bechne nikle the hum
aaj hi bazar manda ho gaya
gham andhere ka nahin 'danish' magar
waqt se pahle andhera ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.