rang-e-ehsas chhalakta hai nikhar jati hai
rang-e-ehsās chhalaktā hai nikhar jaatī hai
zindagī ishq ke saa.e meñ sañvar jaatī hai
ruuh chhūkar koī guzre to mohabbat kahnā
jism ko chhū ke havā bhī to guzar jaatī hai
jab junūñ khīñchne lagtā hai falak kī chādar
ḳhalq ik naqsh-e-kaf-e-pā meñ utar jaatī hai
dasht-o-sahrā meñ bhaTaktī huuñ maiñ tanhā lekin
mujh se lipTī huī ye kis kī nazar jaatī hai
sab ne dekhā hai bahut jism kā miTTī honā
ruuh ko dekhe koī ruuh kidhar jaatī hai
ek hī āb-o-havā hotī hai gulshan meñ magar
koī khiltī hai kalī koī bikhar jaatī hai
rang bharne ko utarte haiñ farishte saare
un kī tasvīr jo āñkhoñ meñ ubhar jaatī hai
un ke chhūne se mire zaḳhm chamak uThte haiñ
bekalī dil kī mirī jaane kidhar jaatī hai
koī manzar use raas aaya nahīñ duniyā meñ
DhūñDhtī hai ye nazar un ko jidhar jaatī hai
vo jo ik choT sī lag jaatī hai dil par apne
vo bhī duniyā kā hameñ de ke hunar jaatī hai
mushkileñ hī to mirā azm-e-safar haiñ 'rinkī'
ho jo āsānī to raftār Thahar jaatī hai
rang-e-ehsas chhalakta hai nikhar jati hai
zindagi ishq ke sae mein sanwar jati hai
ruh chhukar koi guzre to mohabbat kahna
jism ko chhu ke hawa bhi to guzar jati hai
jab junun khinchne lagta hai falak ki chadar
KHalq ek naqsh-e-kaf-e-pa mein utar jati hai
dasht-o-sahra mein bhaTakti hun main tanha lekin
mujh se lipTi hui ye kis ki nazar jati hai
sab ne dekha hai bahut jism ka miTTi hona
ruh ko dekhe koi ruh kidhar jati hai
ek hi aab-o-hawa hoti hai gulshan mein magar
koi khilti hai kali koi bikhar jati hai
rang bharne ko utarte hain farishte sare
un ki taswir jo aankhon mein ubhar jati hai
un ke chhune se mere zaKHm chamak uThte hain
bekali dil ki meri jaane kidhar jati hai
koi manzar use ras aaya nahin duniya mein
DhunDhti hai ye nazar un ko jidhar jati hai
wo jo ek choT si lag jati hai dil par apne
wo bhi duniya ka hamein de ke hunar jati hai
mushkilen hi to mera azm-e-safar hain 'rinki'
ho jo aasani to raftar Thahar jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.