rang-e-KHizan chaman ki shagufta nazar mein dekh
rang-e-KHizan chaman ki shagufta nazar mein dekh
Mahir Qureshi Barelvi
MORE BYMahir Qureshi Barelvi
rang-e-ḳhizāñ chaman kī shagufta nazar meñ dekh
ḳhvābīda zulmateñ haiñ ziyā-e-sahar meñ dekh
kaifiyyat-e-jamāl dil-e-yās asar meñ rakh
jannat simaT ke aa ga.ī merī nazar meñ dekh
mahsūs ho rahī haiñ shuā.eñ sī nuur kī
maiñ jazb ho gayā huuñ tire sang-e-dar meñ dekh
ai ham-nafas haqīqat-e-tūl-e-shab-e-firāq
mujh se na pūchh zindagī-e-muḳhtasar meñ dekh
firdaus-e-mai-kada hai har ik manzar-e-ḳhayāl
Dhaltī huī sharāb kā aalam nazar meñ dekh
mahsūs kar rahā huuñ fareb-e-nigāh ko
raqsāñ tajalliyāñ haiñ mirī chashm-e-tar meñ dekh
har imtihān-e-rāh-e-vafā se guzar chukā
'māhir' kā ab vaqār jahāñ kī nazar meñ dekh
rang-e-KHizan chaman ki shagufta nazar mein dekh
KHwabida zulmaten hain ziya-e-sahar mein dekh
kaifiyyat-e-jamal dil-e-yas asar mein rakh
jannat simaT ke aa gai meri nazar mein dekh
mahsus ho rahi hain shuaen si nur ki
main jazb ho gaya hun tere sang-e-dar mein dekh
ai ham-nafas haqiqat-e-tul-e-shab-e-firaq
mujh se na puchh zindagi-e-muKHtasar mein dekh
firdaus-e-mai-kada hai har ek manzar-e-KHayal
Dhalti hui sharab ka aalam nazar mein dekh
mahsus kar raha hun fareb-e-nigah ko
raqsan tajalliyan hain meri chashm-e-tar mein dekh
har imtihan-e-rah-e-wafa se guzar chuka
'mahir' ka ab waqar jahan ki nazar mein dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.