rang-e-KHulus gang-o-jaman mein nahin raha
rañg-e-ḳhulūs gañg-o-jaman meñ nahīñ rahā
kyā husn thā jo arz-e-vatan meñ nahīñ rahā
kartā nahīñ hai dasht-e-tamannā meñ koī ram
ab vo ġhazāl shauq-e-ḳhutan meñ nahīñ rahā
ashjār-e-gul ko maiñ ne hī sīñchā tamām-umr
ḳhushbū use milī jo chaman meñ nahīñ rahā
yak-laḳht mujh pe us ke sab asrār khul ga.e
ab koī jin charāġh-e-badan meñ nahīñ rahā
tabdīl ho ga.e haiñ javāñ-sāl ḳhāl-o-ḳhad
vo bāñkpan bhī tere suḳhan meñ nahīñ rahā
maiñ tishna-kām us ke kināre gayā 'salīm'
lekin vo aab ḳhitta-e-tan meñ nahīñ rahā
rang-e-KHulus gang-o-jaman mein nahin raha
kya husn tha jo arz-e-watan mein nahin raha
karta nahin hai dasht-e-tamanna mein koi ram
ab wo ghazal shauq-e-KHutan mein nahin raha
ashjar-e-gul ko main ne hi sincha tamam-umr
KHushbu use mili jo chaman mein nahin raha
yak-laKHt mujh pe us ke sab asrar khul gae
ab koi jin charagh-e-badan mein nahin raha
tabdil ho gae hain jawan-sal KHal-o-KHad
wo bankpan bhi tere suKHan mein nahin raha
main tishna-kaam us ke kinare gaya 'salim'
lekin wo aab KHitta-e-tan mein nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.